Aik dard ki kainaat hai Sajjad ke dil mein

Mar 15, 2024

ایک درد کی کائنات ہے سجاد کے دل میں

غیرت کی ہر ایک بات ہے سجاد کے دل میں

 

نیزوں پہ براتی تھے اور سنگ تھا دلہا

دلہن کی اسیری کو سالار نہ بھولا

قاسم کی وہ بارات ہے سجاد کے دل میں

 

شبیر کے لاشے پہ بیمار جو آیا

کر ظلم لعینوں نے لاشے سے اٹھایا

وہ دفن ملاقات ہے سجاد کے دل میں

 

صدموں کی چٹانوں کو سینے سے لگایا

پھر اشکوں کے پانی کو ہائے خون بنایا

کیا قوت جذبات ہے سجاد کے دل میں

 

حیرت سے کبھی دیکھے دربار کے در کو

غیرت سے کبھی دیکھے عباس کے سر کو

ہائے مالک فرات ہے سجاد کے دل میں

 

پابند سلاسل بھی جوہر وہ دکھاتا

زینب کا تو سایہ بھی دربار نہ جاتا

خاموش کوئی ذات ہے سجاد کے دل میں

 

زندان میں سکینہ جو بابا کو بلائے

معصومہ کے رونے کی آواز رلائے

عادل وہ سیاہ رات ہے سجاد کے دل میں

Aik dard ki kainaat hai Sajjad ke dil mein

Ghairat ki har ik baat hai Sajjad ke dil mein

 

Naizon pe barati they or sang tha dulha

Dulhan ki aseeri ko salaar na bhula

Qasim ki woh baraat hai Sajjad ke dil mein

 

Shabir ke lashay pe beemar jo aaya

Kar zulm laeeno ne lashay se uthaya

Woh dafan mulaqaat hai Sajjad ke dil mein

 

Sadmon ki chatanon ko seene se lagaya

Phir ashkoon ke pani ko haye khoon banaya

Kya quwat e jazbaat hai Sajjad ke dil mein

 

Hairat se kabhi dekhey darbar ke dar ko

Ghairat se kabhi dekhey Abbas ke sar ko

Haye malik e furat hai Sajjad ke dil mein

 

Paband e salasal bhi johar woh dikhata

Zainab ka tu saya bhi darbar na jata

Khamosh koi zaat hai Sajjad ke dil mein

 

Zindaan mein Sakina jo baba ko bulaye

Masooma ke rone ki aawaz rulaye

Adil woh siyah raat hai Sajjad ke dil mein

Share